غزل
عشق کے بخت
میں بھی آخرت ہے
ہجر جہنم تو وصل یار جنّت ہے
ڈھل کر
جسم بھی اب کنگال ہو گیا
روح کے بخت میں
بھی غربت ہے
آپ میرے عشق سے بھی
ڈر جاتے
ہیں
میں تو قہر
کو بھی سمجھا کہ رحمت ہے
آپ آیئے اب تصویر سے نکل کر
باہر
الزام عشق میرے سر
پہ
بہت ہے
میں نے ہر بار تجھے مایوس
ہی رکھا
ارادہ گناہگاری
میں بھی رحمت ہے
آپ کا ہر ایک
جلوہ غزل پر مجھ
چشم کے عنوان
سے محبّت ہے
Ghazal
Ishq ke
bakht me bhi aakhrat hai
Hijr jahannum to wasl e yar jannat hai
Dhal kar jism bhi ab kangaal ho gaya
Rooh ke bakht me bhi gurbat hai
Aap mere ishq se bhi dar jaate hain
Mai to qahar ko bhi samjha ki rahmat hai
Aap aayiye ab tasweer se nikal kar bahar
Ilzaam e ishq mere sar pe bahut hai
Maine har baar tujhe maayus hi rakha
Iraada e gunaahgari me bhi rahmat hai
Aap ka har ek jalwa ghazal par mujhe
Chashm ke unwaan se muhabbat hai
Bakht- kismat, gurbat- gareebi,